Abdul Mannan Tarzi

pa ke tufan ka ishaara dariya

Abdul Mannan Tarzi

Darbhanga, Bihar, India

1940
pā ke tūfāñ kā ishārā dariyā
toḌ detā hai kinārā dariyā
kaise Dūbegī bhañvar meñ kashtī
kaise degā na sahārā dariyā
sail-e-himmat haiñ hamāre baazū
Duub jā.egā tumhārā dariyā
band afkār ne bāñdhe lekin
chaḌh ke utrā na hamārā dariyā
ahl-e-himmat ne Duboyā sab ko
nā-ḳhudāoñ se na haarā dariyā
ai asīr-e-ġham sāhil idhar aa
beach dhāre se pukārā dariyā
himmat-e-tark-e-vafā Duub ga.ī
kis ne āñkhoñ meñ utārā dariyā
mauj ne pūchh liyā kal 'tarzī'
kashtī pyārī hai ki pyārā dariyā
Top Urdushayar.com