mar jā.eñge pindār kā saudā na kareñge
aisā na kareñge kabhī aisā na kareñge
vo zaḳhm bhī pahuñchā.eñ kareñ chāragarī bhī
ye bhuul kabhī mere masīhā na kareñge
phūTegī sahar dīda-e-giryāñ se hamāre
ḳhūñ-rez tabassum kā ujālā na kareñge
aa.egā zabāñ par na kabhī harf-e-shikāyat
ham zikr ġhazal meñ bhī tumhārā na kareñge
shabnam kī sifat sho.ala-mizājoñ ko nahīñ deñ
ye us kī nazākat ko gavārā na kareñge
jā.eñge sar-e-dār bhī ehrām hī bāñdhe
ham sheva-e-haq-goī ko rusvā na kareñge
ham zaḳhmoñ kī shiddat ko bayāñ kar ke bhī 'tarzī'
qātil hī kā ḳhud apne qad ūñchā na kareñge