Abdul Mannan Tarzi

apne haalat ka asir hun main

Abdul Mannan Tarzi

Darbhanga, Bihar, India

1940
apne hālāt kā asiir huuñ maiñ
dard kī daulat-e-kasīr huuñ maiñ
jam.a kar kar ke apnī mahrūmī
ban gayā kis qadar amiir huuñ maiñ
mere zāhir ko dekhne vaale
ek bātin ġhanī faqīr huuñ maiñ
aazmā le tū jis tarah chāhe
huuñ to kam-māya bā-zamīr huuñ maiñ
tū hai anvār-e-be-karāñ tū batā
kis kā ik pāra-e-munīr huuñ maiñ
ye savāl ab tire bachāo kā hai
terī khīñchī agar lakīr huuñ maiñ
koī harf-e-talab na harf-e-savāl
aisā ik boriyā-pazīr huuñ maiñ
terī kirnoñ ne tarbiyat kī hai
maanā ik zarra-e-haqīr huuñ maiñ
ḳhatm mujh par hai infirād mirā
aap apnī hī ik nazīr huuñ maiñ
ek tahzīb ke sahīfe kā
shāyad ab hissa-e-aḳhīr huuñ maiñ
'tarzī' kartā huuñ phir rafū dāman
ya.anī ik said-e-tark-o-gīr huuñ meñ
Top Urdushayar.com