dil meñ rahnā kabhī ḳhvāboñ ke nagar meñ rahnā
tum jahāñ rahnā mohabbat ke safar meñ rahnā
ḳhair-maqdam ke liye ā.ūñgā maiñ bhī ik din
tum abhī silsila-e-shām-o-sahar meñ rahnā
vaqt samtoñ ke ta.ayyun ko badal saktā hai
tum mire saath mohabbat ke safar meñ rahnā
mo.ajiza ye bhī hai is daur ke fankāroñ kā
aag se khelnā aur mom ke ghar meñ rahnā
fikr-e-shā.ir ke darīchoñ se guzar kar dekho
kitnā dushvār hai logoñ kī nazar meñ rahnā
ġharq hone se bache kitne safīne 'gauhar'
kaam aayā mirī kashtī kā bhañvar meñ rahnā