Abdul Mannan Tarzi

kya yahan dekhiye kya wahan dekhiye

Abdul Mannan Tarzi

Darbhanga, Bihar, India

1940
kyā yahāñ dekhiye kyā vahāñ dekhiye
aap hī aap haiñ ab jahāñ dekhiye
ghar jalā dekhiye vo dhuāñ dekhiye
aag pahuñchī kahāñ se kahāñ dekhiye
dekhiye tā-kamar zulf kā sho.abada
uljhaneñ ban ga.iiñ dāstāñ dekhiye
mujh ko ma.alūm hai aap ma.asūm haiñ
jal gayā hogā yuuñ hī makāñ dekhiye
bujh ga.ī sham.a parvāne ruḳhsat hue
luT gayā shauq kā kārvāñ dekhiye
ishq roz-e-azal se matā-e-yaqīñ
husn hai aaj bhī bad-gumāñ dekhiye
aa.iye mere dil meñ bhī vaqt-e-ġhazal
ek dariyā-e-ātish ravāñ dekhiye
husn kī ehtiyāt-e-hasīñ dekh kar
ishq kā iltihāb-garāñ dekhiye
is tamāshe kā jab aap ko shauq hai
ham jalāte haiñ apnā makāñ dekhiye
ismat-e-dil hai aur ġham kā ātish-kada
aag ban jā.egī gulistāñ dekhiye
ishtiyāq-e-jabīñ apnā dekheñge ham
aap vīrānī-e-āstāñ dekhiye
aap ke sāmne aur tāb-e-suḳhan
ḳhush-bayāñ kitne haiñ be-zabāñ dekhiye
tuur hī kī tarah jal na jaa.e kahīñ
jalva-bārī se pahle makāñ dekhiye
ramz-o-īmā ġhazal kī agar jaan haiñ
aap 'tarzī' kā husn-e-bayāñ dekhiye
Top Urdushayar.com