Abdul Mannan Tarzi

zalzale saKHt aate rahe raat-bhar

Abdul Mannan Tarzi

Darbhanga, Bihar, India

1940
zalzale saḳht aate rahe rāt-bhar
ghar ko dhāte girāte rahe rāt-bhar
aap haañ aate jaate rahe rāt-bhar
vaz.a-dārī nibhāte rahe rāt-bhar
saarā din naqsh un kā banāte rahe
ban gayā to miTāte rahe rāt-bhar
koī bhī ham ko hātim nahīñ kah sakā
garche motī luTāte rahe rāt-bhar
din meñ sarmāya-kārī jo kī dard kī
ham ḳhasāre chukāte rahe rāt-bhar
sub.h-dam jū-e-ḳhūñ kaise vo ban ga.e
ham jo aañsū bahāte rahe rāt-bhar
dekhiye sādgī aap kī dāstāñ
aap hī ko sunāte rahe rāt-bhar
terī yādoñ kā sāvan barastā rahā
gulistāñ ham khilāte rahe rāt-bhar
qāmat-e-yār par aarzū kī qabā
dil ke hāthoñ sajāte rahe rāt-bhar
lamha lamha miTe ham koī ġham nahīñ
aap ko to banāte rahe rāt-bhar
ham bisāt-e-tamannā bichhāte rahe
aate aate vo aate rahe rāt-bhar
terī yādoñ ke lamhe bhī bedard the
tujh ko mujh se churāte rahe rāt-bhar
āsmāñ par sitāre larazte rahe
ashk 'tarzī' bahāte rahe rāt-bhar
Top Urdushayar.com