khulī jab aañkh to dekhā ki thā bāzār kā halqa
ḳhudā ma.alūm kab TuuTā mire pindār kā halqa
tulū-e-shām bhī mujh ko naved-e-sub.h-e-fardā hai
kahīñ chamke hilāl-e-abrū-e-ḳham-dār kā halqa
mirā ḳhūn-e-tamannā hai hinā-band-e-kaf-e-qātil
junūn-e-shauq kaam aayā farāz-e-dār kā halqa
dil but āshnā kuchh is tarah sū-e-haram aayā
barahman jaise nikle toḌ kar zunnār kā halqa
talab kī raah meñ pā-e-anā se bārhā uljhā
kabhī inkār kā halqa kabhī iqrār kā halqa
ye kū-e-ġham badal jaa.e na ab dasht-e-tamannā se
junūñ-añgez hai zindāñ kī har dīvār kā halqa
har ik mahfil meñ jaanā har kisī se baat kar lenā
gavārā kar nahīñ saktā mire me.aar kā halqa
lahū qadmoñ se yuuñ phūTā ki zanjīreñ lahak uTThīñ
munavvar ho gayā zindān-e-tañg-o-tār kā halqa
ġham-e-imroz ne paimāñ kiyā hai ishq-e-fardā se
kabhī to hogā shāna-gīr zulf-e-yār kā halqa
koī āsāñ na thā lekin bahut mushkil na thā 'tarzī'
mirī zarb-e-nafas se khul gayā asrār kā halqa