sub.h safar aur shaam safar
hastī kā anjām safar
ūñche naam se kyā hotā hai
karnā hai be-nām safar
suniye ḳhizāñ se kyā kahtī hai
gul gulshan gulfām safar
chāñd-sitāre aur havā
kis ko hai ārām safar
bachiye bachiye us se bachiye
kar de jo badnām safar
gaahe kaam bigāḌe bhī hai
gaahe aave kaam safar
khil nahīñ paa.e aur murjhā.e
haa.e re be-hañgām safar
kaisā saudā sar meñ samāyā
sāl-o-mah-o-ayyām safar
shikva hai be-bāl-o-parī kā
dekhiye zer-e-dām safar
tum bhī raho tayyār hī 'tarzī'
'ġhālib' aur 'ḳhayyām' safar