mudda.ā-o-ārzū shauq-e-tamannā aap haiñ
kis ko kis ko maiñ batā.ūñ mere kyā kyā aap haiñ
mai-kada sāġhar surāhī aur sahbā aap haiñ
jo kisī sūrat na utre aisā nashsha aap haiñ
jis pe kartī hai mohabbat merī da.avā aap haiñ
jis kā dil shām-o-sahar paḌhtā vazīfa aap haiñ
ai mirī jān-e-ġhazal shahr-e-vafā-o-shauq meñ
merī azrā aur salmā merī nuurā aap haiñ
aap haiñ ai jān-e-jāñ mere suḳhan kī aabrū
sach to ye hai ki ġhazal kā misra.a misra.a aap haiñ
aap kī zulfoñ kā maiñ hī to nahīñ tanhā asiir
kar ga.ī barbād jo zāhid kī taqvā aap haiñ
jazba-e-pākīza mere dil kā haiñ kuchh aap hī
merī chashm-e-shauq kā saarā tamāsha aap haiñ
ahd-e-pīrī meñ ġhazal 'tarzī' miyāñ aisī javāñ
ishq meñ kis ke bhalā itne bhī rusvā aap haiñ