Abdul Mannan Tarzi

marhala shauq ka hai lafz-o-bayan se aage

Abdul Mannan Tarzi

Darbhanga, Bihar, India

1940
marhala shauq kā hai lafz-o-bayāñ se aage
ek sho.ala hai koī barq-e-tapāñ se aage
apnī hairat kā to hai ilm yaqīñ se pahle
tū batā mujh ko hai kyā mere gumāñ se aage
haañ mirā shauq-laqā terī ināyat hī sahī
kyā milā mujh ko magar ijz-e-bayāñ se aage
kyuuñ banā Daalā ise merī nigāhoñ kā ġhurūr
terā jalva hai agar husn-e-butāñ se aage
apnī ḳhalvat se kabhī tū bhī na bāhar jhāñkā
mujh ko jaane na diyā mere makāñ se aage
kuchh nahīñ is ke sivā apnī nigāhoñ kī bisāt
kuchh dikhā.ī na diyā sūd-o-ziyāñ se aage
fahm-o-idrāk pe bhī mere hai pahrā terā
aur tū saare makāñ saare zamāñ se aage
imtihāñ ḳhatm nahīñ hotā isī par 'tarzī'
jū-e-ḳhūñ laanī hai ik ashk-e-ravāñ se aage
Top Urdushayar.com