Abdul Mannan Tarzi

dil ki parwaz hai la-makan tak

Abdul Mannan Tarzi

Darbhanga, Bihar, India

1940
dil kī parvāz hai lā-makāñ tak
aql kī jast hai āsmāñ tak
barq taḌpī to aa.ī kahāñ tak
āshiyāñ bas mire āshiyāñ tak
dard kā silsila hai jahāñ tak
dil kī jāgīr hogī vahāñ tak
log kahte haiñ ab rah gayā hai
terā qissa mirī dāstāñ tak
aap rasman hī kyuuñ muskurā.e
dekhiye baat phailī kahāñ tak
shauq ke marhale bhī haiñ saare
sirf ehsās-e-sūd-o-ziyāñ tak
ham to hadd-e-yaqīñ se bhī guzre
aap kyuuñ rah ga.e haiñ gumāñ tak
ab jabīñ nañg-e-sajda nahīñ hai
kaun jaa.e tire āstāñ tak
maut aatī hai to aa.e 'tarzī'
baat dil kī na aa.e zabāñ tak
Top Urdushayar.com