Abdul Mannan Tarzi

jab bhi gulshan mein chali ThanDi hawa

Abdul Mannan Tarzi

Darbhanga, Bihar, India

1940
jab bhī gulshan meñ chalī ThanDī havā
aur pāgal kar ga.ī ThanDī havā
pahle to aisī na thī ThanDī havā
ho ga.ī kyuuñ dil-jalī ThanDī havā
sun ke us kī baat ġhunche hañs paḌe
kaan meñ kyā kah ga.ī ThanDī havā
un ke hoñToñ kā jo kar aa.ī tavāf
pā ga.ī kuchh naġhmagī ThanDī havā
hai dil-e-nākām se achchhī nahīñ
chheḌ-ḳhāni bhī tirī ThanDī havā
sach batā merī tarah kyā un kī bhī
be-qarārī thī baḌhī ThanDī havā
zaḳhm-e-dil jis se huā kuchh mundamil
kūcha-e-jānāñ kī thī ThanDī havā
dekh lete ham bhī terā kuchh kamāl
khiltī gar dil kī kalī ThanDī havā
ik pareshāñ dil kā kah degī salām
milnā un se gar kabhī ThanDī havā
'tarzī' aisā hai asīr-e-ġham tirā
haal par jis ke hañsī ThanDī havā
Top Urdushayar.com