har aan na.ī shaan hai har lamha nayā hai
ā.īna-e-ayyām hai yā terī adā hai
rahbar jise hairat se khaḌā dekh rahā hai
vo rahrav-e-gum-gashta kā naqsh-e-kaf-e-pā hai
nāloñ ne ye bulbul ke baḌā kaam kiyā hai
ab ātish-e-gul hī se chaman jalne lagā hai
ai jān-e-vafā dil ke evaz dard liyā hai
kuchh soch samajh kar hī to ye kaam kiyā hai
pahroñ pas-e-dīvār khaḌā thā so khaḌā hai
dīvāna hai pāband-e-rah-e-rasm-o-vafā hai
tanhā.ī meñ mahsūs huā hai mujhe aksar
jaise mire andar se koī bol rahā hai
taarī hai sukūt aaj samundar kī fazā par
gahrā.ī meñ shāyad koī tūfān uThā hai
kartā thā jo ḳhāmoshī kī talqīn hamesha
ham-sāya mirā ḳhvāb meñ vo chīḳh rahā hai
zindāñ ke darīchoñ se hai phir shauq ne jhāñkā
shāyad ki junūñ-ḳhez gulistāñ kī havā hai
ye gardish-e-ayyām kā ehsān hai 'tarzī'
ab zaḳhm-e-kuhan apnā harā hone lagā hai