mirī nigāh ko jalvoñ kā hausla de do
guzar-basar kā koī bhī to aasrā de do
tumhārī bazm se jaatā hai nā-murād koī
safar-ba-ḳhair kī jān-e-vafā duā de do
atā pe harf na aa jaa.e māñgne se mire
ḳhudā ho mere to phir hasb-e-mudda.ā de do
miTā do merī nigāhoñ se tum nuqūsh tamām
vagarna dūsrā mujh ko ik aa.ina de do
fareb-e-sharh-e-tamannā bhī khā le ab ye dil
laboñ ko jur.at-e-iz.hār-e-mudda.ā de do
junūñ-navāz-o-junūñ-ḳhez-o-sad-junūñ-sāmāñ
tum apne jalvoñ ko aisī koī adā de do
adū ko shikva-e-lazzat koī na rah jaa.e
mire lahū ko kuchh aisā hī zā.iqa de do
ġhazal kī aabrū tum ho ġhazal mujhe mahbūb
shu.ūr-e-fikr ko uslūb-e-ḳhush-numā de do
ye dil to dushman-e-jānī hai ek muddat se
jo ġham-navāz ho aisā ġham-āshnā de do
libās-e-kohna ġhazal kā utaar kar 'tarzī'
ba-faiz tab-e-rasā ik na.ī qabā de do