ḳhvāb kī bastī meñ afsāne kā ghar
sham.a kī lau par hai parvāne kā ghar
ban ga.e āḳhir harīf-e-bāl-o-par
daam kī dīvār aur daane kā ghar
aap bhī sañg-e-ta.aqqul pheñkiye
ā.ina-ḳhāna hai dīvāne kā ghar
maiñ junūn-e-ishq aur sahrā-e-ġham
tū adū kī bazm begāne kā ghar
aql-o-dānish ilm-o-irfāñ fikr-o-hosh
kin hisāroñ meñ hai farzāne kā ghar
ho ga.e gumrāh kuchh merī tarah
DhūñDte haiñ shaiḳh paimāne kā ghar
qismat-e-'tarzī' yahī jāgīr thī
shahr-e-ġham kahiye ki vīrāne kā ghar