Abdul Mannan Tarzi

jab nigah-e-talab moatabar ho gai

Abdul Mannan Tarzi

Darbhanga, Bihar, India

1940
jab nigāh-e-talab mo'atabar ho ga.ī
manzil-e-shauq dushvār-tar ho ga.ī
sā.at-e-ġham bhī kyā muḳhtasar ho ga.ī
terī yaad aa.ī thī ki sahar ho ga.ī
har haqīqat ḳhud apnī ḳhabar ho ga.ī
bid.at-e-rañg sarf-e-nazar ho ga.ī
raat mahfil meñ vo be-naqāb aa.e the
aur ham ne ye samjhā sahar ho ga.ī
apne pindār kī laash Dhote rahe
zindagī apnī is meñ basar ho ga.ī
ā.īne se palaTtī rahī har kiran
har nazar apnī hī parda-dar ho ga.ī
koī ilzām jalvoñ pe aayā nahīñ
bebasī aañkh kī mushtahar ho ga.ī
vo jo aa.e to sailāb-e-nūr aa gayā
raushnī ḳhud hī sadd-e-nazar ho ga.ī
chārasāzī na kī haif nazroñ hī ne
ham ne samjhā duā be-asar ho ga.ī
haa.e phir terī bātoñ meñ dil aa gayā
phir fusūñ-sāz terī nazar ho ga.ī
apne ijz-e-nazar kā bharam khul gayā
be-hijābī tirī dīda-var ho ga.ī
'tarzī' qadmoñ ke badle jabīneñ mileñ
nā-rasī qismat-e-sa.ag-e-dar ho ga.ī
Top Urdushayar.com