Abdul Mannan Tarzi

main pahuncha apni manzil tak magar aahista aahista

Abdul Mannan Tarzi

Darbhanga, Bihar, India

1940
maiñ pahuñchā apnī manzil tak magar āhista āhista
kiyā hai puurā ik mushkil safar āhista āhista
nahīñ āsāñ harīm-e-nāz tak kī thī rasā.ī bhī
hue tasḳhīr lekin bām-o-dar āhista āhista
matā-e-azm-e-mohkam hī kā is ko mo.ajiza kahiye
ki manzil ban ga.ī ḳhud rahguzar āhista āhista
bahut hī saḳht garche zindagī ke ma.arke the bhī
khulā hai mujh pe har bāb-e-zafar āhista āhista
rahā hai rishta aisā sañg-o-tesha se ki le aayā
maiñ jū-e-shīr ik shīrīñ ke ghar āhista āhista
hunar aisā charāġhoñ ke dhuāñ piine se aayā hai
ki shabnam meñ badal jaate sharar āhista āhista
nahīñ kuchh kaam aa.ī hai kisī kī kīmiyā-sāzī
bane qatre pasīne ke guhar āhista āhista
sitāroñ ko banānā āftāb āsāñ nahīñ hotā
kiye kuchh ma.arke aise bhī sar āhista āhista
satā.ish nukta-chīnī aur sile se be-niyāzāna
maiñ bas chaltā rahā apnī Dagar āhista āhista
faqat ik sa.ī-e-paiham zindagī kā apnī unvāñ hai
shab-e-tārīk se phūTī sahar āhista āhista
falak ke chāñd tāroñ se raqābat bhī nahīñ lekin
kiyā dāman ko ḳhud rashk-e-qamar āhista āhista
gul-o-ġhuncha ki rañg-o-bū meñ pā letā huuñ sab un meñ
khile haiñ is tarah dāġh-e-jigar āhista āhista
hisār-e-nā-shanāsāñ ho ki bazm-e-nukta-chīnāñ ho
mujhe aa hī gayā karnā basar āhista āhista
maiñ dillī lucknow meñ garche pahle hī se thā lekin
huā huuñ ghar meñ 'tarzī' mo'atabar āhista āhista
Top Urdushayar.com