Abdul Mannan Tarzi

ghazal mein fan ka jauhar jab dikhate hain ghazal wale

Abdul Mannan Tarzi

Darbhanga, Bihar, India

1940
ġhazal meñ fan kā jauhar jab dikhāte haiñ ġhazal vaale
zamīñ ko āsmāñ jaisā banāte haiñ ġhazal vaale
badal dete haiñ ḳhāroñ kī ḳhalish gul kī nazākat se
zabāñ shabnam kī sho.aloñ ko sikhāte haiñ ġhazal vaale
kabhī pahle ġhazal un kī kabhī ḳhud peshtar is se
kisī ke dīda-o-dil meñ samāte haiñ ġhazal vaale
agar aahoñ se apnī koī misra.a gaḌ.h bhī lete haiñ
to ashkoñ se girah us par lagāte haiñ ġhazal vaale
vufūr-e-shauq kī majbūriyāñ bhī kaisī kaisī haiñ
kisī kā naam likh likh kar miTāte haiñ ġhazal vaale
zamīñ zarḳhez hai ye 'mīr' 'ġhālib' aur 'momin' kī
ki jis meñ fasl-e-tāza ab ugāte haiñ ġhazal vaale
ba-ijz-e-ilm-o-dānish jaao un kī bazm meñ 'tarzī'
ġhazal kī sher-bandī par bulāte haiñ ġhazal vaale
Top Urdushayar.com