ḳhuun jab ashk meñ Dhaltā hai ġhazal hotī hai
jab bhī dil rañg badaltā hai ġhazal hotī hai
tere iḳhlās-e-sitam hī kā ise faiz kaheñ
munjamid dard pighaltā hai ġhazal hotī hai
dil ko garmāti hai ashkoñ ke sitāroñ kī kiran
jab diyā shaam kā jaltā hai ġhazal hotī hai
sher hotā hai shafaq meñ jo hinā rachtī hai
laala jab ḳhuun ugaltā hai ġhazal hotī hai
ḳhushk sotoñ ko jagāte haiñ payambar ke qadam
ret se chashma ubaltā hai ġhazal hotī hai
apne siine ke minā meñ bhī tah-e-ḳhanjar-e-ishq
jab koī fidya badaltā hai ġhazal hotī hai
fikr aa jaatī hai tarsīl ke sūraj ke tale
jab koī saaya nikaltā hai ġhazal hotī hai
dāvat-e-pursish-e-ahvāl hai yāroñ se kaho
dariyā jab āñkhoñ kā chaḌhtā hai ġhazal hotī hai
jazba-o-fikr ke ḳhāmosh samundar ke tale
jab bhī tūfān machaltā hai ġhazal hotī hai
mehrbāñ hotā hai jab jaan mohabbat 'tarzī'
dil-e-bīmār sambhaltā hai ġhazal hotī hai