Abdul Mannan Tarzi

aankh par eatibar ho jae

Abdul Mannan Tarzi

Darbhanga, Bihar, India

1940
aañkh par e.atibār ho jaa.e
dil ko gar tum se pyaar ho jaa.e
maut bā-e'tibār ho jaa.e
zindagī sharh-dar ho jaa.e
tum ko mil jā.egā sukūñ shāyad
dil agar be-qarār ho jaa.e
hārne vaale hai duā merī
merī har jiit haar ho jaa.e
maut is ko na kyuuñ gavārā ho
zindagī jis pe baar ho jaa.e
jis ko nisbat tumhāre naam se ho
vo ġhazal pur-vaqār ho jaa.e
terī nazroñ se jab gire 'tarzī'
apnī nazroñ meñ ḳhaar ho jaa.e
Top Urdushayar.com