Abdul Mannan Tarzi

har waraq ek kitab ho jae

Abdul Mannan Tarzi

Darbhanga, Bihar, India

1940
har varaq ik kitāb ho jaa.e
aks-e-jalva naqāb ho jaa.e
phuul dekhā thā ḳhvāb meñ kal ik
aaj tābīr-e-ḳhvāb ho jaa.e
ḳhud-baḳhud terī lai pe bajne lage
saañs tār-e-rabāb ho jaa.e
ek mushkil kā vaqt vo hogā
jab duā mustajāb ho jaa.e
ik qayāmat hai aap kā va.ada
chaliye ye bhī azaab ho jaa.e
mujh ko kāñToñ pe tolne vaale
tū shagufta gulāb ho jaa.e
sajda-e-ishq kar adā 'tarazī'
ye bhī kār-e-savāb ho jaa.e
Top Urdushayar.com