merī āñkhoñ meñ aañsū pyāre
ghar tumhārā hai tum raho pyāre
ġhair kī baat meñ na tum aanā
maiñ kahūñ aur tum suno pyāre
lutf-e-sohbat matā-e-ulfat hai
kuchh kaho aur kuchh suno pyāre
ik fareb-e-nazar hai kuchh bhī nahīñ
ye gulistān-e-rañg-o-bū pyāre
kaun kitnā vafā kā hai pāband
faisla hogā mū-ba-mū pyāre
hai tamannā tumhārī sab ko magar
tum ho aap apnī aarzū pyāre
ik mohabbat hai vo shikāyat bhī
jo kare koī rū-ba-rū pyāre
ham na chhoḌeñge sheva-e-taslīm
tum jo chāho vo tum karo pyāre
nām-levā tumhārā hai 'tarzī'
aadmī kī tarah milo pyāre