Abdul Mannan Tarzi

pursish hai chashm-e-ashk-e-fasha par na aae harf

Abdul Mannan Tarzi

Darbhanga, Bihar, India

1940
pursish hai chashm-e-ashk-e-fashā. par na aa.e harf
Dūbeñ bhī ham to sail-e-ravāñ par na aa.e harf
donoñ hī apnī apnī jagah lā-javāb haiñ
apne yaqīñ pe un ke gumāñ par na aa.e harf
ai rashk itnā vahm-o-gumāñ bhī bajā nahīñ
ehsās-e-qurbat-e-rag-e-jāñ par na aa.e harf
dil nā-murād sho.ala-e-āriz se jal gayā
Darte the ham ki soz-e-nihāñ par na aa.e harf
hushiyār bazm-e-ġhair meñ naam un kā aa na jaa.e
ai naġhma-sañj josh-e-bayāñ par na aa.e harf
tīr-e-nigāh dil meñ tarāzū huā to ho
ab tere abruoñ kī kamāñ par na aa.e harf
ham un ke rū-ba-rū rahe is maslahat se chup
mahfil meñ apne ijz-e-bayāñ par na aa.e harf
uḌ jaa.e teġh se to rahe sarfarāz sar
kaT jaa.e baat par to zabāñ par na aa.e harf
is kashmakash meñ terī galī se pare rahe
aa.e kahāñ pe harf kahāñ par na aa.e harf
'tarzī' tavāf-e-ḳhāna-e-ḳhālī se ḳhush nahīñ
bas jaao tum to dil ke makāñ par na aa.e harf
Top Urdushayar.com