sher-o-suḳhan kī us mahfil meñ sab se chhoTe ham hī the
sab se ūñche mansab vaale khoTe sikke ham hī the
yaad hameñ hai tum bhī socho vaqt paḌā jab urdu par
sab the uljhī bhāshā vaale urdu vaale ham hī the
daulat shohrat hikmat vaale sab haiñ tere dam ke saath
duniyā terī saarī raunaq chhoḌ ke baiThe ham hī the
TuuT chuke sab rishte naate aage pīchhe rāheñ thiiñ
terā ban ke rahne vaale māre-bāñdhe ham hī the
duniyā ham se letī kyā aur ham duniyā ko dete kyā
sab the sīdhe-sāde buzdil āḌe-tirchhe ham hī the
ham the apne aage pīchhe aur nazar meñ koī na thā
aisā surma 'anvar' apnī aañkh meñ Daale ham hī the