usī amal kī zarā sī sharāb detā chal
sharar ke haath meñ koī gulāb detā chal
vo intishār-e-ġham-e-zīst meñ jilā degā
magar usī ko ḳhushī kī kitāb detā chal
har ik savāl kā miltā rahā javāb tujhe
kisī savāl kā tū bhī javāb detā chal
yahāñ to terī hukūmat kā kārḳhāna thā
kabhī hamāre ġhamoñ kā hisāb detā chal
zamīñ sukūn kī hālat meñ aa.egī lekin
use 'nadīm' kī she.arī kitāb detā chal