kyā sunā.eñ tumheñ koī taaza ġhazal
sher hairat-zada ābdīda ġhazal
tum ko logo abhī bhāñgḌa chāhiye
dard kī zindagī kā tarāna ġhazal
vaqt barbād karte rahe is tarah
ham sunāte rahe sab ko taaza ġhazal
tarjumān-e-shikasta-dilī thī magar
mahfiloñ meñ chalī vo shikasta ġhazal
aadmī ko kabhī bhuul saktī nahīñ
zindagī se nibhātī hai rishta ġhazal
har ghaḌī chheḌnā bhī munāsib nahīñ
ban ga.ī zindagī meñ tarāshā ġhazal
anvar-e-be-zabāñ aaj iqrār kar
raat phir ho ga.ī be-irāda ġhazal