Ali Sarmad

dil-e-muztar mujhe ek baat bata sakta hai

Ali Sarmad

dil-e-muztar mujhe ik baat batā saktā hai
tū kisī taur mujhe chhoḌ ke jā saktā hai
ye tirī bhuul hai maiñ tere sabab zinda huuñ
mujh sā ziddī to badan toḌ ke jā saktā hai
jis ne is ḳhaak ke insān ko izzat dī hai
vahī is ḳhaak ko miTTī meñ milā saktā hai
to mire saath to hai phir bhī mire saath nahīñ
is se baḌh kar bhī mujhe koī satā saktā hai
mire maulā mirī tanhā.ī miTāne ke liye
mere jaisā hī tū ik aur banā saktā hai
mujhe ma.alūm hai milnā nahīñ mumkin lekin
tū kisī raat mire ḳhvāb meñ aa saktā hai
mirī ulfat kā sar-e-bazm tamāsha kar ke
aap apne ko tū itnā bhī girā saktā hai
zaḳhm-e-ulfat se navāzā tū mirā mohsin hai
tū mirī zaat pe ehsān jatā saktā hai
apne dilbar ke bulāve pe bahāne kaise
vo to mahbūb hai jab chāhe bulā saktā hai
vo jo rote ko hañsāne kā hunar rakhte haiñ
gar vo ro.eñ to unheñ kaun hañsā saktā hai
apnī marzī se mujhe chhoḌ ke jaane vaalā
mirī yādoñ ko kabhī dil se miTā saktā hai
mujh ko jiine se mohabbat na mohabbat kī havas
merī tarah koī jazboñ ko sulā saktā hai
siyah-baḳhtī meñ tirī zaat bhī shāmil hai 'alī'
tū kisī taur use duur haTā saktā hai
Top Urdushayar.com