Ali Sarmad

sham ka manzar uljha rasta ek kahani tu aur main

Ali Sarmad

shaam kā manzar uljhā rasta ek kahānī tū aur maiñ
Dhaltā sūraj baḌhtā saaya kashtī-rānī tū aur maiñ
band ik kamra chup kā manzar bhūlī-bisrī dīpak yaad
tanhā.ī dukh ḳhauf kī lazzat dilbar-e-jānī tū aur maiñ
titlī ḳhushbū rañg kī bāteñ shabnam se sharmīle ḳhvāb
aas kā panchhī gum-sum ḳhvāhish rāt-kī-rānī tū aur maiñ
palkeñ chilman sharmā-sharmī kam kam goyā nazreñ qurb
rātoñ jaisī sīdhī-sādī ik nādānī tū aur maiñ
raat ghanerī ghor ghaTā.eñ sāvan sī barsāt 'alī'
yaad kā panchhī vaqt-e-āḳhir aañkh meñ paanī tū aur maiñ
Top Urdushayar.com