tum ho shā.er mirī jaan jiite raho
sher kahte raho zahr piite raho
sīna-e-chāk hī mish.al-e-nūr hai
sīna-chāko isī tarah jiite raho
raat jaagī huī hai havā mehrbāñ
phir ye lamhe kahāñ, aaj piite raho
rok lo dil pe sail-e-girān-e-alam
dosto zindagī ke chahīte raho
itnī fursat kise hai ki dekhe tumheñ
chaak kar lo girebāñ ki siite raho