na but-kade meñ na ka.abe meñ sar jhukāne se
sukūñ milā hai tirī anjuman meñ aane se
mire junūñ ko mohabbat se dekhne vaale
zarā nigāh bachā.e hue zamāne se
maiñ muskurā to diyā un kī be-niyāzī par
ye kyā ki dil pe lagī choT muskurāne se
bahut kiyā hai haqīqat kī talḳhiyoñ se gurez
magar bahal na sakā dil kisī fasāne se
ḳhushā ki ahd-e-qafas meñ bhī zindagī ke liye
nigāh kheltī rahtī hai āshiyāne se
udaas dil ko sahārā na mil sakā 'jāved'
añdherī shab meñ sitāroñ ke jagmagāne se