na ġhurūr hai ḳhirad ko na junūñ meñ bāñkpan hai
ye mizāj-e-zindagī to baḌā hausla-shikan hai
jahāñ mil sakeñ na mil ke jahāñ fāsle hoñ dil ke
use anjuman na samjho vo fareb-e-anjuman hai
ye havā chalī hai kaisī ki diloñ kī dhaḌkanoñ meñ
na hadīs-e-lāla-o-gul na hikāyat-e-chaman hai
nahīñ maslahat ki rahbar koī baat sach batā de
zarā kārvāñ se pūchho jo shikast jo thakan hai
ka.ī inqalāb aa.e ka.ī diip jhilmilā.e
jo bujhī nahīñ hai ab tak tirī yaad kī kiran hai
maiñ ġhamoñ kī tīrgī meñ nahīñ is qadar bhī tanhā
koī mujh se duur rah kar mire dil meñ zau-fagan hai
nahīñ sab ke saath yaksāñ safar-e-hayāt pyāre
kahīñ rañg-o-bū ke saa.e kahīñ dasht-e-pur-mehan hai