Fareed Javed

shauq ka silsila be-karan hai

Fareed Javed

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1927-1977
shauq kā silsila be-karāñ hai
zindagī kārvāñ kārvāñ hai
hāsil-e-narmī-e-shabnam-o-gil
ātish-e-ġham kā sail-e-ravāñ hai
har nafas meñ tirī āhaTeñ haiñ
har nafas zindagī kā nishāñ hai
apnī vīrāniyoñ par abhī tak
dil ko shādābiyoñ kā gumāñ hai
ham-nafas dil dhaḌakte haiñ jab tak
kārobār-e-mohabbat javāñ hai
tohmat-e-mai-kashī bhī uThā.ī
tishnagī hai ki sho.ala-ba-jāñ hai
un ke dāman meñ bhī phuul hote
jin se ra.anā.ī-e-gulsitāñ hai
Top Urdushayar.com