donoñ ko aa sakīñ na nibhānī mohabbateñ
ab paḌ rahī haiñ ham ko bhulānī mohabbateñ
sab sar-ba-sar fareb haiñ kyā un kā e'tibār
ye pyaar husn ishq javānī mohabbateñ
jaane vo aaj kaun se raste se aa.e ghar
har moḌ har galī meñ bichhānī mohabbateñ
kin kin rafāqatoñ ke diye vāste magar
us ko na yaad aa.iiñ purānī mohabbateñ
guzrī rutoñ ke zaḳhm hī ab tak bhare nahīñ
phir aur kyā kisī se baḌhānī mohabbateñ
yā dil kī hālatoñ kā bayāñ sab ke sāmne
yā apne aap se bhī chhupānī mohabbateñ
nafrat ke vāste kabhī fursat nahīñ milī
apnī hai muḳhtasar sī kahānī mohabbateñ