Fareed Javed

pahunch ke hum sar-e-manzil jinhen bhula na sake

Fareed Javed

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1927-1977
pahuñch ke ham sar-e-manzil jinheñ bhulā na sake
vo ham-safar the jo kuchh duur saath aa na sake
tamām umr pashemāniyoñ meñ biit ga.ī
ba-qadr-e-shauq mohabbat ke naaz uThā na sake
mujhe ḳhayāl hai un dil-girafta kaliyoñ kā
jinheñ nasīm-e-sahar chheḌ de khilā na sake
kuchh aise dard bhī haiñ zindagī kī rāhoñ meñ
jahāñ hijāb-e-tabassum bhī kaam aa na sake
karam kī aas ke sāyoñ meñ bujh gayā vo charāġh
havā-e-yās ke jhoñke jise bujhā na sake
añdherī shab thī sitāroñ se kyā sukūñ miltā
sitāre bhī to bahut der jagmagā na sake
ġhazal ke husn kā ehsās us ko kyā 'jāved'
ḳhulūs-e-narmī-e-guftār ko jo pā na sake
Top Urdushayar.com