Fareed Javed

ye kahan se mauj-e-tarab uThi ki malal dil se nikal gae

Fareed Javed

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1927-1977
ye kahāñ se mauj-e-tarab uThī ki malāl dil se nikal ga.e
vahī sub.h-o-shām jo the garāñ nafas-e-bahār meñ Dhal ga.e
ye dayār-e-shauq hai ham-nashīñ yahāñ laġhzishoñ meñ bhī husn hai
jo miTe vo aur ubhar ga.e jo gire vo aur sambhal ga.e
hasīñ zindagī kī talāsh thī hameñ sarḳhushī kī talāsh thī
hue zindagī se jo āshnā to jarāhatoñ se bahal ga.e
tire sogvāroñ kī zindagī kabhī mutma.in na guzar sakī
jo bujhī kabhī koī tishnagī ka.ī aur dard machal ga.e
mirī ārzūoñ ke ḳhvāb the ki fazā-e-husn-o-shabāb the
kahīñ nik.hatoñ meñ bikhar ga.e kahīñ rañg-o-nūr meñ Dhal ga.e
unheñ rāhatoñ kā ḳhayāl hai na sa.ūbatoñ kā malāl hai
jo tirī talāsh meñ chal paḌe jo tirī talab meñ nikal ga.e
hai bharī bahār to kyā karūñ na mile qarār to kyā karūñ
mire sāmne haiñ vo āshiyāñ jo bharī bahār meñ jal ga.e
Top Urdushayar.com