abhī makāñ maiñ abhī sū-e-lā-makāñ huuñ maiñ
tire ḳhayāl tirī dhun meñ huuñ jahāñ huuñ maiñ
kalī kalī mutabassim hai ārzūoñ kī
qadam qadam pe mohabbat meñ kāmrāñ huuñ maiñ
navā navā meñ mirī zindagī machaltī hai
rabāb-e-husn-o-mohabbat pe naġhma-ḳhvāñ huuñ maiñ
mirā tajassus-e-paiham hai zindagī-āmoz
mujhe qarār nahīñ hai ravāñ-davāñ huuñ maiñ
jahāñ tamām agar mujh se sargirāñ hai to kyā
ba-zāt-e-ḳhud bhī to ik mustaqil jahāñ huuñ maiñ
fanā kī zad se hai mahfūz zindagī merī
shi.ār apnā mohabbat hai jāvedāñ huuñ maiñ
ye e.atibār-e-gul-o-gulsitāñ mujhī se hai
ye aur baat ki parvarda-e-ḳhizāñ huuñ maiñ
ye kaun dekh rahā hai mujhe hiqārat se
ġhubār-e-rāh nahīñ mīr-e-kārvāñ huuñ maiñ