hamāre sāmne begāna-vār aao nahīñ
niyāz-e-ahl-e-mohabbat ko āzmāo nahīñ
hameñ bhī apnī tabāhī pe rañj hotā hai
hamāre hāl-e-pareshāñ pe muskurāo nahīñ
jo taar TuuT ga.e haiñ vo jaḌ nahīñ sakte
karam kī aas na do baat ko baḌhāo nahīñ
diye ḳhulūs-o-mohabbat ke bujhte jaate haiñ
garāñ na ho to hameñ is qadar satāo nahīñ
dil-o-nigāh ko kab tak koī bichhā.e rahe
ye dekh kar ki udhar se koī jhukāv nahīñ
ye aur baat hai kāñToñ meñ jī bahal jaa.e
nahīñ ki lāla-o-gul se mujhe lagāv nahīñ