ham jise samajhte the sa.ī-e-rā.egāñ yaaro
ab usī se milnā hai apnā kuchh nishāñ yaaro
ruk sake to mumkin hai naġhmagī meñ Dhal jaa.e
uTh rahī hai sīnoñ meñ shorish-e-fuġhāñ yaaro
kyā ḳhayāl hai tum ko kyā malāl hai tum ko
pūchhtā koī tum se kyuuñ huuñ sargirāñ yaaro
barq se tasādum kā vaqt aa hī jā.egā
DhūñDte rahoge tum barq se amaañ yaaro
sach se pyaar karne kā hausla nahīñ hai aur
maslahat kī rāhoñ se dil hai bad-gumāñ yaaro
kuchh surūr to hogā koī nuur to hogā
jis se zulmat-e-shab meñ dil hai naġhma-ḳhvāñ yaaro
kam-sabāt hotī hai tāzgī-o-ra.anā.ī
der tak nahīñ rahtā sub.h kā samāñ yaaro