Ahmad Ameer Pasha

mohabbat ko riya ki qaid se aazad karna hai

Ahmad Ameer Pasha

Khanewal, Punjab, Pakistan

1964
mohabbat ko riyā kī qaid se āzād karnā hai
hameñ phir ārzuoñ kā nagar ābād karnā hai
shikast-e-fāsh denī hai man-o-tū ke ravayyoñ ko
marāsim kī bahālī kā hunar ījād karnā hai
ye kyā jabr-e-ta.alluq hai ki phir tere havāle se
kisī ko bhuul jaanā hai kisī ko yaad rakhnā hai
guzishta ahd meñ bhī jurm thā ye kār-e-haq-goī
hamārī nasl ko bhī ye ba-sad uftād karnā hai
ka.ī dīgar havāle bhī surūr-o-rāhat-e-dil haiñ
ga.e mausam kī nisbat se tumheñ bhī yaad karnā hai
hamāre sher agar jazboñ ko ḳhushbū de nahīñ sakte
to phir to sher kahnā vaqt ko barbād karnā hai
Top Urdushayar.com