mīzān-e-vāqi.āt meñ tolā nahīñ gayā
itnā vo nā-sipās thā likkhā nahīñ gayā
ḳhushbū kī aarzū meñ sazā qaid kī huī
sahrā uThā ke laa.e to pūchhā nahīñ gayā
yuuñ bhī maiñ apne baare meñ kuchh likh nahīñ sakā
lafzoñ kā shor aisā thā sochā nahīñ gayā
donoñ ko fart-e-shauq ne lab-basta kar diyā
vo chup rahā to ham se bhī bolā nahīñ gayā
qarz-e-firāq maiñ ne mukammal chukā diyā
lekin mire hisāb se kaaTā nahīñ gayā
kaise bhalā fasāne meñ sach kī talāsh ho
lafzoñ kā her-pher hī pakḌā nahīñ gayā
aise safar-nasīb haiñ pushtoñ se ham 'amīr'
ab tak hamāre paañv kā chhālā nahīñ gayā