Naseem Abbasi

jahan jahan bhi hawas ka ye jaanwar jae

Naseem Abbasi

1952
jahāñ jahāñ bhī havas kā ye jānvar jaa.e
diloñ se mehr-o-mohabbat kī fasl char jaa.e
vahīñ se huuñ maiñ jahāñ se dikhā.ī detā huuñ
vahīñ talak huuñ jahāñ tak mirī nazar jaa.e
hudūd-e-zāt se aage ḳhudāoñ kī had hai
maiñ sochtā huuñ agar zehn kaam kar jaa.e
bharī paḌī hai ufūnat se inch inch zamīñ
us ek phuul se ḳhushbū kidhar kidhar jaa.e
vo bād-e-tund hai har peḌ kī ye koshish hai
havā ke saath koī dūsrā shajar jaa.e
'nasīm' gaañv kī masjid meñ raat kāTegā
ik ajnabī sā musāfir hai kis ke ghar jaa.e
Top Urdushayar.com