tamām umr mayassar bas ek ḳhāna havā
maiñ apnī zaat ke sandūq meñ purānā huā
mahāz-e-vaqt se agle paḌāv kī jānib
maiñ ruk gayā to koī dūsrā ravāna huā
nazar uThā ke phaloñ kī taraf nahīñ dekhā
shajar se Tek lagā.e hue zamāna huā
ye kā.enāt bhī qad kī munāsibat se thī
ki ik parind ko patā bhī shāmiyāna huā
'nasīm' is se baḌā rañj aur kyā hogā
vo mujh se pūchh rahā hai ki kaise aanā huā