itnā na ghuum raat ko phūloñ kī baas meñ
so.e paḌe haiñ chāroñ taraf saañp ghaas meñ
har samt us ne ātishī shīshe lagā diye
saḌkoñ pe log aa.e the kaale libās meñ
gardish meñ zindagī rahī afvāh kī tarah
umreñ guzār dī ga.iiñ ḳhauf-o-hirās meñ
aglā nisāb nūr-e-basīrat se paḌh liyā
āñkheñ to chhoḌ aa.e the pahlī class meñ
ye aur baat zer-e-zamīñ dafn ho ga.iiñ
varna jaḌoñ kā ḳhuun hai phal kī miThās meñ
ab baar baar us kī taraf dekhte ho kiyā
ab sirf merī tishna-labī hai gilās meñ
manzar kisī tilism kī zad meñ na ho 'nasīm'
sarsoñ kā rañg dauḌ rahā hai kapās meñ