Naseem Abbasi

jahan jahan bhi hawas ka ye jaanwar jae

Naseem Abbasi

1952
jahāñ jahāñ bhī havas kā ye jānvar jaa.e
diloñ se mehr-o-mohabbat kī fasl char jaa.e
khule haiñ ūñchī havelī ke pāltū kutte
faqīr-e-rāh zarā dekh-bhāl kar jaa.e
vahīñ se huuñ maiñ jahāñ se dikhā.ī detā huuñ
vahīñ tilak huuñ jahāñ tak mirī nazar jaa.e
hai koī der se us paar muntazir merā
rukā huā huuñ ki naddī zarā utar jaa.e
vo bād-e-tund hai har peḌ kī ye koshish hai
havā ke saath koī dūsrā shajar jaa.e
hudūd-e-zāt se aage ḳhudāoñ kī had hai
meñ sochtā huuñ agar zehn kaam kar jaa.e
bharī paḌī hai ufūnat se inch inch zamīñ
is ek phuul kī ḳhushbū kidhar kidhar jaa.e
abhī talak tire raste meñ pul-sirāt pe hai
guzarne vaalā zarūrī nahīñ guzar jaa.e
'nasīm' gaañv kī masjid meñ raat kāTegā
ik ajnabī sā musāfir hai kis ke ghar jaa.e
Top Urdushayar.com