Naseem Abbasi

kis burj mein falak ne sitare milae hain

Naseem Abbasi

1952
kis burj meñ falak ne sitāre milā.e haiñ
dast-e-shab-e-firāq meñ saa.e hī saa.e haiñ
gulzār-e-zindagī ke haiñ gul-dān ke nahīñ
ye phuul kār-ḳhāna-e-qudarat se aa.e haiñ
ḳhasta hue tane to jaḌeñ phūTne lagīñ
peḌoñ ne apne apne badan phir ugaa.e haiñ
sāmān-e-būd-o-bāsh thā jañgal se shahr tak
ham apnā bojh nafs ke ghoḌoñ pe laa.e haiñ
duniyā meñ itne shor-sharābe ke bāvajūd
jo bolte nahīñ haiñ vahī ahl-e-rā.e haiñ
ham sar-phiroñ kā zauq-e-sukūnat na pūchhiye
jab shahr tañg ho ga.e sahrā basā.e haiñ
lagtā hai apnā zehn bhī apnā nahīñ 'nasīm'
ḳhud-sāḳhta ḳhayāl bhī jaise parā.e haiñ
Top Urdushayar.com