dost ban kar bhī kahīñ ghaat lagā saktī hai
maut kā kyā hai kisī ruup meñ aa saktī hai
in makānoñ meñ ye dhaḌkā sā lagā rahtā hai
aglī bārish dar-o-dīvār girā saktī hai
terā din ho ki mirī raat nahīñ ruk sakte
apne mehvar pe zamīñ ḳhud ko ghumā saktī hai
aisī tartīb se raushan haiñ tirī mahfil meñ
ek hī phūñk charāġhoñ ko bujhā saktī hai
merā fan mere ḳhad-o-ḳhāl pe taqsīm huā
merī biinī mirī tasvīr banā saktī hai
fitratan us kī mahak chāroñ taraf phailegī
phuul se mauj-e-sabā shart lagā saktī hai
ḳhush na ho itnā ki yuuñ raushaniyāñ phuuT paḌeñ
is chakā-chauñd meñ bīnā.ī bhī jā saktī hai
gudgudāhaT meñ 'nasīm' us ne nahīñ sochā thā
ye hañsī TuuT ke bachche ko rulā saktī hai