ye bastī pyaar kī ne.amat se ḳhālī hotī jaatī hai
ki har hātim kī sūrat bhī savālī hotī jaatī hai
kisī se pūchh lo ta.abīr apne apne ḳhvāboñ kī
dayār-e-misr meñ phir ḳhushk-sālī hotī jaatī hai
ye kaise rañg utre haiñ jinheñ dekhā nahīñ jaatā
ye kaisī sub.h phūTī hai jo kaalī hotī jaatī hai
purāne maqbaroñ meñ bhī darāḌeñ paḌtī jaatī haiñ
na.ī ta.amīr bhī naqsh-e-ḳhayālī hotī jaatī hai
bahāv aa.e din umr-e-ravāñ kā ghaTtā jaatā hai
ye ThāTheñ mārtī naddī bhī naalī hotī jaatī hai