badan kā kaam thoḌā hai magar mohlat ziyāda hai
so jo ġhaflat ziyāda thī vahī ġhaflat ziyāda hai
hameñ is ālam-e-hijrāñ meñ bhī ruk ruk ke chalnā hai
unheñ jaane diyā jaa.e jinheñ ujlat ziyāda hai
na jaane kab kisī chilman kā ham nuqsān kar baiTheñ
hameñ chehrā-kushā.ī kī zarā ruḳhsat ziyāda hai
kabhī maiñ ḳhud ziyāda huuñ tan-e-tanhā kī vahdat meñ
kabhī merī zarūrat se mirī vahdat ziyāda hai
tujhe halqa-ba-halqa khīñchte phirte haiñ duniyā meñ
so ai zanjīr-e-pā yuuñ bhī tirī shohrat ziyāda hai
ye dil bāhar dhaḌaktā hai ye aañkh andar ko khultī hai
ham aise marhale meñ haiñ jahāñ zahmat ziyāda hai
maiñ qarnoñ kī tarah bikhrā paḌā huuñ donoñ vaqtoñ meñ
mirī jalvat ziyāda hai mirī ḳhalvat ziyāda hai
so ham fariyādiyoñ kī ek apnī saf alag se ho
hamārā mas.ala ye hai hameñ hairat ziyāda hai