Naseem Abbasi

chhoTe baDe bure bhale din raat ke liye

Naseem Abbasi

1952
chhoTe baḌe bure bhale din raat ke liye
har shai hai sirf sūrat-e-hālāt ke liye
maujūd haiñ is ā.īna-ḳhāna meñ har taraf
mere hī aks merī mulāqāt ke liye
jo baat sochne kī hai kab sochtā huuñ meñ
kab sochtā hai koī merī zaat ke liye
phirtī haiñ dil meñ sūrateñ qurb-o-javār kī
ābād hai ye shahr mazāfāt ke liye
chhoTe se peḌ kī jaḌeñ jaatī haiñ duur duur
sahrā meñ rizq DhūñDne har paat ke liye
maiñ ruk gayā chaḌhī huī naddī ke sāmne
kuchh vaqt mere paas thā barsāt ke liye
ham log haiñ saleT pe likkhe hue 'nasīm'
miTnā paḌegā agle savālāt ke liye
Top Urdushayar.com