Shakeel Jamali

kahani mein chhoTa sa kirdar hai

Shakeel Jamali

Chandpur, Uttar pradesh, India

1958
kahānī meñ chhoTā sā kirdār hai
hamārā magar ek me.aar hai
ḳhudā tujh ko sunñe kī taufīq de
mirī ḳhāmushī merā iz.hār hai
ye kaise ilāqe meñ ham aa base
gharoñ se nikalte hī bāzār hai
siyāsat ke chehre pe raunaq nahīñ
ye aurat hamesha kī bīmār hai
haqīqat kā ik shā.iba tak nahīñ
tumhārī kahānī mazedār hai
ta.alluq kī taj.hīz-o-takfīn kar
vo dāman chhuḌāne ko tayyār hai
paḌosī paḌosī se hai be-ḳhabar
magar sab ke hāthoñ meñ aḳhbār hai
ye chhuTTī kā din ham se mat chhīnnā
yahī ham ġharīboñ kā tyauhār hai
use mashvaroñ kī zarūrat nahīñ
vo tum se ziyāda samajhdār hai
Top Urdushayar.com